Acting Karna Aaj-kal fashion sa ho gaya hai.
Lekin idhar udhar acting karne me aur
professional acting career banane me bahut fark
hota hai. Actor to bahut log ban jaate hai par ek
safal Abhineta banne ke liye liye sache dil se
atoot mehnat karni padti hai, jo har insan nahi
kar pata, ye ek aisi line hai jisme success paane
ke liye dar dar bhatakna padta hai, bahut se utar
chadhav dekhne padte hai aur fir khi ja kar career
ka kuch banta hai, ye bhi possible hai ki lakh
kosish karne ke bavjood bhi Successful actor
banne ka dream nhi achieve ho paaye. Ek actor ki
zindgi ka matlab hai, lagatar kosish .
Halanki, acting me ye mayne nahi rakhta ki aapka
rang gora hai ya saanwala, lekin ye jaroor mayne
rakhta hai ki aapki stage presence kitni achi hai.
Aap apni audience ko kaise apne acting ke dum
par rula sakte ho, hasa sakte ho, unme jajbaat
bhar sakte ho, unhe gussa dila sakte ho.
Agar maan le aap me ye sab karne ki takat hai,
aur aapko lagta hai ki aapki acting se aap kisi ko
bhi apna deewana bana sakte ho to Ab sawal ye
uth raha hai ki shuruwat kahan se ki jaye. Is
article me hum aapko `Ek actor banne ke liye kya
kya karna padta hai` detail me bta rhe hai.
Actor Banne Ke Liye Kya Kare
Har safal actor ka rasta alag alag hota hai, agar
koi ye soche ki jo aaj ke ek safal actor ne kiya
tha successful hone ke liye main bhi vhi same
same karta hu to main bhi safal ho jaunga to ye
Bevkoofi hogi. Har insaan ko Successful banne ke
liye apna rasta khud banana padta hai. Isliye kisi
ko copy karna sabse pahle band kar de aur apne
raste khud banaye. Jaisa ki humne upar baat ki,
bahut se log actor banne ka sapna dekhte hai par
safal sirf gine chune log hi ho paate hai, aisa
isliye hota hai ki bahut se logon ko ye hi nhi pata
chal pata ki, Actor banne ke liye starting kha se
ki jaaye. Halanki sabke raste alag hote hai par
kuch cheeze aisi hai jo har kisi ko ek acha actor
ya acting line me safal hone ke liye karni hi
padti hai . Vo kya hai, aayiye hum aapko batate
hai…
Saturday, 20 February 2016
Actor kese bne in hindi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment