☆ Acting Training
Acting karne ke liye ye jaruri nahi hai ki aapne koi
degree leni hai ya kisi top acting school se
padhayi karni hai, actor banne ke liye insaan me
natural acting talent to hona hi chahiye. Lekin
natural acting ko stage par dikhana ek bahut
challenging kaam hota hai. Aur is kaam me aapki
help karte hai acting schools aur Theatre shows.
Agar aap koi acting school join karte hai to vha
par aapki acting skills ko aur nikhara jaata hai,
jisse aapke success hone ke chances badh jaate
hai, lekin agar aap aisa koi institute ya school
join nhi kar sakte to tension lene waali baat nhi
hai. Main baat hai aapme, apne aap ko actor
banane ke liye junoon aur pagalpan hona
chahiye .
Anginat actor aise hai jinhone apne acting ke dum
par safalta ki nyi kahani likhi aur vo kabhi kisi
acting school nhi gaye. Par iska matlab ye bhi nhi
hai ki acting school jaana, time waste hai. Agar
aap acting school ja sakte hai to jarur join kare
aur agar nhi jaa sakte hai to aapko ek acha
theatre group join kar lena chahiye, jaldi se jaldi.
Theatre me lagatar bahut se Stage Plays hote
rahte hai aur aapko unme acting karne ka mauka
milega, aap logon ke saamne real me acting kar
payenge, apne skills ko aur improve kar payenge
aur yakeen maniye, agar aap stage par successful
ho jaate hai to camera ke saamne bhi jarur safal
honge.
Note : Agar kisi insan ko lagta hai ki, Theatre
waale to faltu ke shows karte rahnte hai, kabhi
Nukkad natak to kabhi kuch kabhi kuch aur karte
rahte hai, aur theatres me acting ke alawa
volunteer (स्वयंसेवक) waale kaam bhi karne padte
hai .. main vo sab nhi karna chahta, main to
direct film me acting karunga ya TV par acting
karunga, to unke liye dukh ki baat hai, aisa sirf
tab hi ho sakta hai jab unke Baap ke paas paise
ki koi kami na ho.
Saturday, 20 February 2016
Acting tranning
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment